rang-birange naqsh ubhar kar tair rahe hain pani par

By wasim-nadirJanuary 5, 2024
rang-birange naqsh ubhar kar tair rahe hain pani par
chand ne apni muhr laga di dariya ki peshani par
tum kya jaano tum kya samjho 'ishq isi ko kahte hain
hum ne apni 'umr guzari kaise ek kahani par


aakhir main ne khun se apne wo taswir mukammal ki
kab tak bebas baitha rahta rangon ki man-mani par
naslen wahshi ho jati hain yar hifazat karne mein
khush hone ki baat nahin hai sahra ki sultani par


kab tak khandar apni kahani hamein sunaega 'nadir'
kab tak aankhen jami rahengi dekhen is virani par
57625 viewsghazalEnglish