rang hai ai saqi-e-sarshaar qiasar-bagh mein phul pite hain tere mai-khwar qiasar-bagh mein dekh kar rangin tera rukhsar qaisar-bagh mein gul se bulbul ho gae bezar qaisar-bagh mein sath hai ek ghairat-e-gulzar qaisar-bagh mein bulbulon ko de rahe hain khar qaisar-bagh mein baaten bulbul ko suna shaida-e-rukh gul ko bana kabk ko chal kar dikha raftar qiasar-bagh mein surat-e-idris jannat se nikalte hain kahin ab to laya tala-e-bedar qaisar-bagh mein shahid-e-gul motiyon mein lad rahe hain aaj-kal abr-e-tar rahta hai gauhar-bar qaisar-bagh mein bulbulen gul se khafa hon qumriyan shamshad se sair ho chaliye jo aap ai yar qaisar-bagh mein kis tarah huron ko la kar khuld se dikhlaiye kya bahaar aai hai ab ke bar qaisar-bagh mein dekh paen mere sine ke agar gul-ha-e-dagh bulbulen hongi gale ka haar qaisar-bagh mein mausam-e-gul mein yahin josh-e-junun ki hai bahaar rang la kar aaenge sau bar qaisar-bagh mein ai sanam allah re jalwa tera hairat-faza but bane hain sahib-e-zunnar qaisar-bagh mein wo maraz khoe tabibon ki bhi aankhen khul gain hai masiha nargis-e-bimar qaisar-bagh mein khuld mein aa kar sharab-e-khuld se bhi ijtinab jam-e-mai se zahida inkar qaisar-bagh mein qamat-e-baala ka rutba hai do-baala sarw se turra hai sumbul pe zulf-e-yar qaisar-bagh mein daur mein sultan-e-alam ki hain ye kaifiyyaten ghairat-e-jam hai har ek mai-khwar qaisar-bagh mein dekh kar ru-e-musaffa yar ka hairat hui aaine hain pusht-bar-diwar qiasar-bagh mein hai pae abr-e-bahaari ye mahall-e-abru aae zer-e-saya-e-diwar qaisar-bagh mein dekh kar tere rukh-e-rangin ko ai rashk-e-bahaar gul hue hain baghban par bar qaisar-bagh mein jaiye waqt-e-masihai hai ai ruh-e-rawan muntazir hai nargis-e-bimar qiasar-bagh mein tujh se aur gul se hui bahs-e-jamal ai ghuncha-lab mujh se bulbul se hui takrar qaisar-bagh mein nikhat-e-gul se 'saba' hum mast rahte hain mudam baada-e-gul-gun nahin darkar qiasar-bagh mein