rang jazbaat mein bhar jaane ko ji chahta hai kaam ek pyara sa kar jaane ko ji chahta hai dasht-e-tarik to ek umr hui chhan liya ab to suraj ke nagar jaane ko ji chahta hai ruh mein khwahishen itni hain ki jina chahun karb itna hai ki mar jaane ko ji chahta hai khauf-e-ehsas-e-nadamat ko mitane ke liye raat dhal jae to ghar jaane ko ji chahta hai dard rag rag mein kuchh is tarah utar jata hai zindagi se bhi mukar jaane ko ji chahta hai shayad is tarah mile apni haqiqat ka suragh aap apne mein utar jaane ko ji chahta hai