rang kahte hain kahani meri kis ki khushbu thi jawani meri koi pae to mujhe kya pae khoe rahna hai nishani meri koh se dasht mein le aai hai dushman-e-jaan hai rawani meri khil rahi hai pas-e-diwar zaman khwahish-e-naql-e-makani meri sar-e-marqad hain sabhi saya-kusha koi hasrat nahin fani meri tapish-e-rang jhulas dalegi kya kare sokhta-jaani meri naqsh tha main bhi gali takhti ka ud gai khak-e-maani meri kya sukhan-fahm nazar thi jis ne baat koi bhi na mani meri naqidon ne mujhe parkha 'khalid' khak sahraon ne chhani meri