rang-o-bu ban ke bahar-gam bikharna hoga

rang-o-bu ban ke bahar-gam bikharna hoga
tujh ko virane se ai dost guzarna hoga

zindagi gardish-e-dauran se pareshan hi sahi
meri khatir tumhein ai dost sanwarna hoga

yun na badlega ye mai-khana-e-geti ka nizam
dil ko aamada-e-takhrib bhi karna hoga

ab to shabnam bhi nahin hisse mein kuchh ghunchon ke
un ko khud apna lahu pi ke nikharna hoga

sarf kar dunga har ek qatra lahu ka apne
rang-e-taswir gulistan mein jo bharna hoga

aaj hai saz-e-takhayyul pe nazar 'mutrib' ki
lahn-e-afkar ko phir aaj sanwarna hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close