rang sa phirta hai zer-e-asman dekha hua ru-ba-ru ek aks hai jaane kahan dekha hua kis ke hone ki khabar dete hain ye diwar-o-dar jaane kyun lagta hai mujh ko ye makan dekha hua ek gharaunda haule haule ghul raha hai aaj bhi ek manzar hai tah-e-ab-e-rawan dekha hua main to pahli bar aaya tha tumhaare shahr mein na-gahan mujh ko laga shahr-e-guman dekha hua ek mahak ban kar nazar uthti hai meri chaar-su main to pahron dekhta hun ye jahan dekha hua har ghadi paya naya dhadka purane rang ka aag an-dekhi lagi uttha dhuan dekha hua din nikalte hi gharon se chal pade tesha-ba-kaf suraj ubhra hai ki ek koh-e-giran dekha hua mand rah jaegi is shab aansuon ki aab bhi chand phir nikla pas-e-diwar-e-jaan dekha hua aasman tha ya shikasta chhat andheri qabr ki raat bhar dekha kiya main aasman dekha hua sath chalta hai kinare par kinaron ki tarah kya kahun 'khalid' ki hai ye mehrban dekha hua