rang se pairahan-e-sada hinai ho jae pahne zanjir jo chandi ki talai ho jae khud-faroshi ko jo tu nikle ba-shakl-e-yusuf ai sanam teri kharidar khudai ho jae khat-e-toam ki tarah aashiq o mashuq hain ek donon bekar hain jis waqt judai ho jae tangi-e-gosha-e-uzlat hai bayan se bahar nahin imkan ki chyunti ki samai ho jae yahi har uzw se aati hai sada furqat mein waqt ye wo hai juda bhai se bhai ho jae apni hi aag mein ai 'barq' jala jata hun unsur-e-khak ho turbat jo ladai ho jae