rangat chehra aankhen aariz lab dhutkarega
By hina-ambareenFebruary 6, 2024
rangat chehra aankhen 'ariz lab dhutkarega
fakhr takabbur 'adat jis ki sab dhutkarega
us ne khubi de di hai to mat itra kar chal
us ke bande dhutkare to rab dhutkarega
ghurbat to har haal mein rab ka shukr sikhati hai
jis ko bhuk ne das rakkha ho kab dhutkarega
hirs-o-hawas ke shaidai aur matlab ke bande
paon se liptenge tere jab dhutkarega
maula hum par mat lana aise be-dide din
jab har banda duje ka mazhab dhutkarega
'ishq-nawaz ko kab hoti hai mal-o-zar ki chah
faqr chunega 'ohda aur mansab dhutkarega
dil us ko de baithe hain aur ab hum khali hath
wo jab chahe matlab bin matlab dhutkarega

90022 viewsghazal • English