ranj-o-azar dekhna hai hamein

By meem-maroof-ashrafFebruary 27, 2024
ranj-o-azar dekhna hai hamein
aur lagatar dekhna hai hamein
phir se aaegi ek subh nai
phir se akhbar dekhna hai hamein


tere jaisa hi kash tujh ko mile
tujh ko bimar dekhna hai hamein
husn ko aazma ke dekh liya
ab ke kirdar dekhna hai hamein


aise kaise kisi ko chahe phiren
apna me'yar dekhna hai hamein
yunhi banhon mein jaan simti raho
sara sansar dekhna hai hamein


hain kahan gum sharab aankhen teri
khud ko sarshaar dekhna hai hamein
dhund kar lao mere pas use
yaron dildar dekhna hai hamein


95728 viewsghazalEnglish