ranj-o-gham-e-hayat ka unwan nahin hun main

By betab-amrohviFebruary 26, 2024
ranj-o-gham-e-hayat ka 'unwan nahin hun main
kya tum ye kah rahe ho ki insan nahin hun main
sham'-e-faraaz-e-tur darakhshan nahin to kya
lekin ghalat ki ghairat-e-yazdan nahin hun main


ai khizr-e-rah teri zarurat nahin mujhe
na-waqif-e-talatum-o-tufan nahin hun main
ud jaun gard-e-pa ki tarah karwan ke sath
itna subuk to gardish-e-dauran nahin hun main


mujh ko bhi tere pyar ka sauda to hai magar
tar-astin-o-chaak-gareban nahin hun main
69134 viewsghazalEnglish