ras aati hai na darweshi na sultani mujhe

By ziyaul-hasanJune 18, 2022
ras aati hai na darweshi na sultani mujhe
apni danai bhi ab lagti hai nadani mujhe
zindagi ek khitta-e-khwab-o-khayal-e-kham hai
parda uthta hai nazar aati hai hairani mujhe


ho gai hai kam mujhe ab fursat-e-nazzargi
har-taraf rahti hai jalwon ki farawani mujhe
kaun rakhta hai mujhe aawara-e-ku-e-malal
kar diya hai aish-e-roz-o-shab ka zindani mujhe


kar diya hai kis ne duniya mein mujhe khwar-o-kharab
saunp di hai kis ne is dil ki nigahbani mujhe
ab koi mushkil mujhe mushkil nazar aati nahin
ho gai hai ab to aasani bhi aasani mujhe


kis qadar apni suhulat mein suhulat thi mujhe
ho gai kitni giran apni giran-jaani mujhe
jab se utra hai 'ziya' aankhon se malbus-e-nazar
khush-libasi bhi nazar aati hai uryani mujhe


98810 viewsghazalEnglish