rasm-e-girya bhi utha di hum ne aakhiri shama bujha di hum ne ek mauhum tasawwur ke liye ruh ki aab ganwa di hum ne darmiyan-e-dil o gulzar-e-hayat gham ki diwar utha di hum ne rakh bhi pae na koi apni ab ke wo aag laga di hum ne sansanate rahe tare pahron kyun teri baat suna di hum ne har kadi rah mein har manzil par tere hi gham ko sada di hum ne aas ke bujhte hue shoale ko tere daman se hawa di hum ne jab tujhe bhulna chaha dal ne ek nae gham ki saza di hum ne koi ghuncha kisi goshe mein khila bagh mein dhum macha di hum ne kaisi aabaad thi duniya 'shohrat' kaisi sunsan bana di hum ne