rasman hi un ko nala-e-dil ki KHabar to ho

By seemab-akbarabadiNovember 17, 2020
rasman hi un ko nala-e-dil ki khabar to ho
yani asar na ho to fareb-e-asar to ho
hum bhi tumhaari bazm mein hain dar-khur-e-karam
achchha wo mustaqil na sahi ek nazar to ho


kya farz hai ki hum na hon taqdir-azma
duniya padi hui hai dar-e-yar par to ho
sab kah rahe hain hum pe giran hai shab-e-firaq
is ka bhi kuchh ilaj karenge sahar to ho


'simab' aadhi raat ko aaen wo be-qarar
teri dua-e-nim-shabi mein asar to ho
85842 viewsghazalEnglish