rasta bhi kathin dhup mein shiddat bhi bahut thi sae se magar us ko mohabbat bhi bahut thi kheme na koi mere musafir ke jalae zakhmi tha bahut panw masafat bhi bahut thi sab dost mere muntazir-e-parda-e-shab the din mein to safar karne mein diqqat bhi bahut thi barish ki duaon mein nami aankh ki mil jae jazbe ki kabhi itni rifaqat bhi bahut thi kuchh to tere mausam hi mujhe ras kam aae aur kuchh meri mitti mein baghawat bhi bahut thi phulon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin kuchh is mein hawaon ki siyasat bhi bahut thi wo bhi sar-e-maqtal hai ki sach jis ka tha shahid aur waqif-e-ahwal-e-adalat bhi bahut thi is tark-e-rifaqat pe pareshan to hun lekin ab tak ke tere sath pe hairat bhi bahut thi khush aae tujhe shahr-e-munafiq ki amiri hum logon ko sach kahne ki aadat bhi bahut thi