rasta lamba ho to piyaada mat karna
By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
rasta lamba ho to piyaada mat karna
ghar aane mein raat ziyaada mat karna
warna dariya ghus aaega kamre mein
jaane ka us par irada mat karna
bulb bahut kamzor hai mere kamre ka
bijli ki miqdar ziyaada mat karna
tum to khud ko mar chuke par bachchon ko
'mir' ke jaisa sidha-sada mat karna
aasman se jaane ab ke kya tute
tariki mein hath kushada mat karna
jao khud ko raushan-dan pe rakh aao
lekin diwaron mein jada mat karna
ghar aane mein raat ziyaada mat karna
warna dariya ghus aaega kamre mein
jaane ka us par irada mat karna
bulb bahut kamzor hai mere kamre ka
bijli ki miqdar ziyaada mat karna
tum to khud ko mar chuke par bachchon ko
'mir' ke jaisa sidha-sada mat karna
aasman se jaane ab ke kya tute
tariki mein hath kushada mat karna
jao khud ko raushan-dan pe rakh aao
lekin diwaron mein jada mat karna
70297 viewsghazal • English