rasta ye bata raha hai mujhe

By abdurrahman-mominOctober 22, 2020
rasta ye bata raha hai mujhe
we bahut dhundhta raha hai mujhe
pas rah kar na pas aaya to
dur se kya bula raha hai mujhe


jhank kar dekh apni aankhon mein
chhup ke tu dekhta raha hai mujhe
bhul baitha hun us ki sab baaten
we magar yaad aa raha hai mujhe


kya bataun chhupa hai mujh mein kaun
kaun mujh mein chhupa raha hai mujhe
main ne chaha sunaun kuchh dil ko
dil bhi apni suna raha hai mujhe


main jahan bhi gaya tujhe paya
tu bhi kya yun hi pa raha hai mujhe
kuchh nazar mein nahin raha 'momin'
hijr kya kya dikha raha hai mujhe


97555 viewsghazalEnglish