raste tera sahi sine to be-nur nahin aankh jo dekh rahi hai hamein manzur nahin ped pat-jhad mein lahu rote hain afsurda na ho shakh mein nam hai to phir mausam-e-gul dur nahin mushkilen dil mein nai shamen jala deti hain gham se bujh jaana to durweshon ka dastur nahin jaane kya gham tha ki chup odh ke wo baith raha wo kam-amez to hai yaro pa maghrur nahin