raushni jab ghar ke bahar ek ek manzar mein hai

raushni jab ghar ke bahar ek ek manzar mein hai
kyon andhera hi andhera phir hamare ghar mein hai

us ke aage hath phaila kar koi kya paega
muddaton se qaid khud hi jo kisi patthar mein hai

band darwaze pe dastak dene wale soch le
tera chehra aashna bhi kya koi is ghar mein hai

barf ki surat pighalta ja raha hun raat-din
kaun sa sho'la mere thithure hue paikar mein hai

bhul kar 'sajid' agar patthar hi koi phenk de
jag uthe phir wo sada jo khamushi ke ghar mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close