raushni ke liye har pal jo hawa deta hai

By manish-mohakOctober 25, 2023
raushni ke liye har pal jo hawa deta hai
yaad rakhna wahi dipak bhi bujha deta hai
soch kar ye bhi qarib aaya nahin main tere
khwab nazdiki ka duri bhi badha deta hai


pyar karna to magar us pe fida mat hona
kyunki dipak hi patange ko mita deta hai
puchhta hun jo main anjam-e-mohabbat us se
aankh se pyar ka moti wo gira deta hai


yaad rakkhun to bhala kaise us insan ko main
din badalte hi jo ehsan bhula deta hai
aise bete pe bhala kya hi koi naz kare
bap ke sar ki jo dastar gira deta hai


ye wo yug hai jahan nawik ko bata kar doshi
naw ko pani mein tufan duba deta hai
53981 viewsghazalEnglish