raushni ke rup mein khushbu mein ya rangon mein aa main tujhe pahchan lunga kitne hi chehron mein aa band aankhon mein bhi kya hogi teri be-pardagi chhin le mujh se ye ninden ya mere khwabon mein aa nach uthe raqqasa-e-jaan dhadkanon ki thap par saz hathon mein uthae dil ke sannaton mein aa tu jo sharmata hai mere samne aate hue odh le mera tasawwur phir meri bahon mein aa kar diye hain zindagi ne mukhtalif hisse mere mujh se milna hai agar bat kar kai sayon mein aa shahr mein bhi khak udati phir rahi hain wahshaten chhod virane 'muzaffar' ab gali-kuchon mein aa