raushni KHatm karo kaam hua chahta hai
By abdullah-saqibJanuary 6, 2024
raushni khatm karo kaam hua chahta hai
dushman-e-dil bhi bas ab ram hua chahta hai
log pahchan ke karte hain kinara-giri
aap kahte hain miyan nam hua chahta hai
tirgi raat ki badhti hi chali jati hai
aur mera jism subuk-gam hua chahta hai
kisa-e-zar bhi kisi kaam na aaya tere
pukhta iman tha jo kham hua chahta hai
qatl-e-nahaq ko odhana koi dini jama
shahr-e-bedad mein ab 'am hua chahta hai
ghaur se dekh tere jhute khuda ka chehra
surkhi-e-khun se siyah-fam hua chahta hai
hijraten 'am karo habs ka daur aaya hai
qaul-e-insaf bhi dushnam hua chahta hai
dushman-e-dil bhi bas ab ram hua chahta hai
log pahchan ke karte hain kinara-giri
aap kahte hain miyan nam hua chahta hai
tirgi raat ki badhti hi chali jati hai
aur mera jism subuk-gam hua chahta hai
kisa-e-zar bhi kisi kaam na aaya tere
pukhta iman tha jo kham hua chahta hai
qatl-e-nahaq ko odhana koi dini jama
shahr-e-bedad mein ab 'am hua chahta hai
ghaur se dekh tere jhute khuda ka chehra
surkhi-e-khun se siyah-fam hua chahta hai
hijraten 'am karo habs ka daur aaya hai
qaul-e-insaf bhi dushnam hua chahta hai
34112 viewsghazal • English