raushni le kar andheri raat mein nikla na kar

raushni le kar andheri raat mein nikla na kar
raat parde ke liye hai khud ko be-parda na kar

dahr ka phailaw bhi nuqta nazar aane lage
sher kahta hai to kah itna magar socha na kar

ek din tu bhi kisi tare se takra jaega
dost mere raat ki galiyon mein yun ghuma na kar

chand bhi utra tha pichhli shab isi talab mein
kyun chamakta hai naha dho kar badan ponchha na kar

aaina chamkae rakh sab kuchh nazar aa jaega
jis ki chahat ho use khud se juda samjha na kar

dopahar ki lahr chehre ko jhulas degi 'khalil'
ghar ki thandak chhod kar pedon tale baitha na kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close