raushni mujhse gurezan hai to shikwa bhi nahin
By iqbal-azeemFebruary 26, 2024
raushni mujh se gurezan hai to shikwa bhi nahin
mere gham-khane mein kuchh aisa andhera bhi nahin
pursish-e-haal ki fursat tumhein mumkin hai na ho
pursish-e-haal tabi'at ko gawara bhi nahin
yun sar-e-rah mulaqat hui hai aksar
tum ne dekha bhi nahin hum ne pukara bhi nahin
‘arz-e-ahwal ki 'adat bhi nahin hai hum ko
aur haalat ka shayad ye taqaza bhi nahin
be-niyazana guzar jae guzarne wala
mere pindar ko ab shauq-e-tamasha bhi nahin
hath phailaun main ‘isa-nafason ke aage
dard pahlu mein mere hai magar itna bhi nahin
ek shikan mathe pe dekhi thi tumhaare hum ne
phir kabhi aankh utha kar tumhein dekha bhi nahin
aakhiri bar hansi aai thi kab yaad nahin
aur phir aae hansi is ki tamanna bhi nahin
mere haalat na badle to na badlen 'iqbaal'
mujh ko haalat pe kuchh aisa bharosa bhi nahin

23744 viewsghazal • English