raushni rangon mein simta hua dhoka hi na ho main jise jism samajhta hun wo saya hi na ho aaina tut gaya chunta hun reza reza isi aaine mein mera kahin chehra hi na ho main to diwar ke is par rawan hun kab se koi diwar ke us par bhi chalta hi na ho wo jo sunta hai meri baat bade ghaur ke sath baad jaane ke mere mujh pe wo hansta hi na ho jagti aankhon mein kyun phailta jata hai khala kha gai hai jise duri tera rasta hi na ho mod har rah pe panw se lipat jate hain wo mujhe chhod ke chal de kahin aisa hi na ho us ke milne pe bhi mahsus hua hai 'sarmad' us ne dekha hi na ho main ne bulaya hi na ho