raushni se tirgi tabir kar di jaegi rang se mahrum har taswir kar di jaegi adl ke mear mein aa jaengi tabdiliyan be-gunahi laeq-e-tazir kar di jaegi har nazar ko aarzuon ka samundar bakhsh kar har zaban par tishnagi tahrir kar di jaegi dab ke rah jaenge jazbon ke ujale ek din zulmat-e-iflas aalamgir kar di jaegi har kalai har tamanna har haqiqat har wafa aashna-e-halqa-e-zanjir kar di jaegi banjh ho kar rah gaya jis waqt dharti ka badan tab hamare nam ye jagir kar di jaegi dafn kar ke is ki buniyaadon mein insanon ke sar ek mohazzab shahr ki tamir kar di jaegi