rawayya dekh kar un ka to hum nashad ho baiThe
By abu-hurrairah-abbasiSeptember 2, 2024
rawayya dekh kar un ka to hum nashad ho baithe
bhala lahje se wo kyon nashtar-e-fassad ho baithe
zamane bhar mein apne nam ka danka bhi bajta tha
par ujde yun ki hum to surat-e-baghdad ho baithe
kaha farhad ne apni muridi mein mujhe le len
suna kar qissa-e-gham murshid-e-farhad ho baithe
'imarat apne khwabon ki banane ka kiya aaghaz
to khud hum int ban baithe khudi buniyaad ho baithe
gae waqton mein aisa tha yahan kuchh kam shikari the
nae waqton mein dekho to sabhi sayyaad ho baithe
yahan par kaun zinda ab rakhe apni riwayat ko
yahan par log jo madar-pidar-azad ho baithe
jinhen tha 'ishq se matlab wo suli chadh gae aakhir
jinhen daulat se matlab tha wo sab shaddad ho baithe
asar be-mausami tufan ka gulshan pe gahra hai
kabhi jo phul hote the wo ab faulad ho baithe
kabhi ghalti se jo misra' mila lete hain aksar wo
samajhte hain ki ab hum 'mir' ke ustad ho baithe
kasen 'iqbaal' par boli karen baaten 'ghazali' par
bila-tahqiq hi ye sab yahan naqqad ho baithe

26162 viewsghazal • English