rida-e-waqt mein bas mah-o-sal bunte hue ek umr kat di tera khayal bunte hue ye rang us ka pasandida rang tha mahi main aaj rone laga ek shaal bunte hue usi zamin ko tartib se banana hai nadi ke dhagon se shahron ki khaal bunte hue mujhe tadapti udanon ki yaad aati hai tumhein bhi yaad kuchh aata hai jal bunte hue zara sa azm tha poshak khud banaunga guzar gae hain magar kitne sal bunte hue wo kokh bhi na bachi wahshiyon ke hathon se safed un hua lal lal bunte hue