rishta-e-dam se jaan hai tan mein manke manke se tere simran mein dida-e-dil se dekhta hun tujhe sochta hun jab apne main man mein gul hai shabnam se aah dida-e-tar bin wo gul-ru ke subh-e-gulshan mein karbala ke bagule sare kash khak udata hua phirun ban mein gauhar-e-ab-dar ke manind ashk ghaltan hain mere daman mein sarw-e-gulzar sa suhata hai wo mera yar ghar ke aangan mein apni surat ko ai shahansha-e-husn 'ishq' ke dekh dil ke darpan mein