rishton ke jab tar ulajhne lagte hain aapas mein ghar-bar ulajhne lagte hain mazi ki aankhon mein jhank ke dekhun to kuchh chehre har bar ulajhne lagte hain sal mein ek aisa mausam bhi aata hai phulon se hi khar ulajhne lagte hain ghar ki tanhai mein apne-ap se hum ban kar ek diwar ulajhne lagte hain ye sab to duniya mein hota rahta hai hum khud se be-kar ulajhne lagte hain kab tak apna haal bataen logon ko tang aa kar bimar ulajhne lagte hain jab dariya ka koi chhor nahin milta kashti se patwar ulajhne lagte hain kuchh khabron se itni wahshat hoti hai hathon se akhbar ulajhne lagte hain koi kahani jab bojhal ho jati hai natak ke kirdar ulajhne lagte hain