rishton ki uljhanon ke bhanwar se nikal gaya

By nazir-fatehpuriMay 13, 2022
rishton ki uljhanon ke bhanwar se nikal gaya
wo shakhs aaj apne hi ghar se nikal gaya
pathrile hadson ne lahu kar diya use
sauda sawad-e-sher ka sar se nikal gaya


mausam jawan dekh ke jagin baghawaten
har ek parinda budhe shajar se nikal gaya
lafzon ke her-pher mein uljha raha jo shakhs
wo eatibar-e-arz-e-hunar se nikal gaya


nauha hum apni zat ka likhte to kis tarah
qatra lahu ka dida-e-tar se nikal gaya
chamka diye usi ne andheron ke aaine
jo bhi sawad-e-sham-o-sahar se nikal gaya


sab ji rahe hain phir bhi haqiqat hai ye 'nazir'
har shakhs zindagi ke asar se nikal gaya
73414 viewsghazalEnglish