ro rahi hai jis tarah ye shama parwane ke baad aap bhi roenge mujh ko mere mar jaane ke baad gar nahin milti sharab-e-nab aansu hi sahi kuchh to pina chahiye furqat mein gham khane ke baad rashk-e-jannat ban gaya tha aap ke aane se ghar ho gaya dozakh se bad-tar phir chale jaane ke baad kya khabar hum bad-nasibon ko hai kya shai-e-bahaar hum ne to gulshan ko dekha hai ujad jaane ke baad kya bataen tujh ko waiz mai-kashi ke hum maze aap ho jaenge malum ek paimane ke baad raegan hone na do ai 'shauq' tum waqt-e-aziz ye wo shai hai jo nahin milti hai kho jaane ke baad