rona-dhona sirf dikhawa hota hai

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
rona-dhona sirf dikhawa hota hai
kaun mere jaane se tanha hota hai
us ki tis nahin jati hai sari 'umr
pahla dhoka pahla dhoka hota hai


nam bhi us ka yaad nahin rakh pate hum
galiyon galiyon jise pukara hota hai
sari baaten yaad hamein aa jati hain
lekin jab wo uthne wala hota hai


mar jata hai tanz bhare ek jumle se
koi koi to itna zinda hota hai
aansu bhi hum kharch wahin par karte hain
jahan koi dil rakhne wala hota hai


be-matlab ki bhid lagane walon se
jaane wala aur akela hota hai
ghar mein ise mahsus karo ya sahra mein
sannata to bas sannata hota hai


achchhe chehre achchhe chehre hote hain
un mein bhi ek apna wala hota hai
30537 viewsghazalEnglish