rona ho aasan hamara

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
rona ho aasan hamara
itna kar nuqsan hamara
baat nahin karni to mat kar
chehra to pahchan hamara


khush-fahmi ho jaegi hum ko
mat rakh itna dhyan hamara
pahli chot mein jaan gae hum
'ishq nahin maidan hamara


maut ne aa kar bandh liya tha
pahle hi saman hamara
jit gaya tera bhola-pan
haar gaya shaitan hamara


97093 viewsghazalEnglish