rone ki ye shiddat hai ki ghabra gain aankhen ashkon ki ye kasrat hai ki tang aa gain aankhen dil sakht hi kafir ka par aankhon mein haya hai sunte hi jafa ka gila sharma gain aankhen mehrab mein hota nahin maston ka guzara abru ke tale khub jagah pa gain aankhen wo talib-e-didar ke pas aaen magar kya hairat ka ye aalam hai ki kuba gain aankhen farhad ne kya dekh ke sar teshe se phoda sujha na kuchh is ru se ki tihra gain aankhen dil de ke raha girya-e-khuni ka mujhe shaghl baqi tha jigar so use yun kaha gain aankhen chadhte nahin ab meri nazar mein mah-o-khurshid dekha tujhe kya main ne ki itra gain aankhen aa kar tere kuche mein na kuchh hum se ban aai jate hue ek munh tha ki barsa gain aankhen itna bhi na samjhe ki bala-e-dil-o-din hai 'nazim' tumhein kyun us ki pasand aa gain aankhen