rone se jo bhadas thi dil ki nikal gai aansu bahae chaar tabiat sambhal gai main ne taras taras ke guzari hai sari umr meri na hogi jaan jo hasrat nikal gai bechain hun main jab se nahin dil-lagi kahin wo dard kya gaya ki mere dil ki kal gai kahta hai chaaragar ki na paega indimal achchha hua ki zakhm ki surat badal gai ai shama hum se soz-e-mohabbat ke zabt sikh kam-bakht ek raat mein sari pighal gai shakh-e-nihaal-e-umr hamari na phal saki ye to hai wo kali jo nikalte hi jal gai dekha jo us ne pyar se aghyar ki taraf 'shair' qasam khuda ki meri jaan jal gai