roz ka ek mashghala kuchh der ka

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
roz ka ek mashghala kuchh der ka
us gali ka rasta kuchh der ka
baat kya badhti ki jab ma'lum tha
sath hai kuchh dur ka kuchh der ka


'umr bhar ko ek kar jata hamein
hausla tera mera kuchh der ka
phir mujhe duniya mein shamil kar gaya
khud se mera wasta kuchh der ka


ab nahin to kal ye rishta tutta
farq kya padta bhala kuchh der ka
77217 viewsghazalEnglish