roz uthta hai dhuan koh-e-nida ke us par chand chup-chap sulagta hai faza ke us par bhig jati hai ye masum si dharti har subh kaun rota hai batao to ghata ke us par sarhad-e-jism se aage had-e-imkan se pare shahr-e-jaan rahta hai diwar-e-ana ke us par nekiyan bantte rahne ki saza lazim hai para para hai badan ku-e-jaza ke us par main ki manjdhaar mein hun kaun nikale 'shabnam' chhup gaya wo to kahin mujh ko bula ke us par