rudad-e-mohabbat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae do din ki masarrat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae jab jam diya tha saqi ne jab daur chala tha mahfil mein ek hosh ki saat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae ab waqt ke nazuk honton par majruh tarannum raqsan hai bedad-e-mashiyyat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae ehsas ke mai-khane mein kahan ab fikr-o-nazar ki qindilen aalam ki shiddat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae kuchh haal ke andhe sathi the kuchh mazi ke ayyar sajan ahbab ki chahat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae kanton se bhara hai daman-e-dil shabnam se sulagti hain palken phulon ki sakhawat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae ab apni haqiqat bhi 'saghar' be-rabt kahani lagti hai duniya ki haqiqat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae