ruh-e-zaman makan mile raaz-e-ayan nihan mile

By khalilur-rahman-razNovember 3, 2020
ruh-e-zaman makan mile raaz-e-ayan nihan mile
kab se hun garm-e-justuju manzil-e-kun-fakan mile
nadira-e-zaman mile nabigha-e-jahan mile
jis ko main dhundhta hun wo nazish-e-mah-washan mile


nala-e-arghawan mile shoala-e-arghawan mile
saiqa-e-tapan mile jalwa-e-be-aman mile
kakul-e-kahkashan khule aariz-e-la-makan mile
dil-bar-e-hast-o-bud ka kash kahin nishan mile


yun to hamein hazar-ha jalwe jahan-tahan mile
jis ki magar talash hai dekhiye kab kahan mile
dhund rahe hain aaj tak jin ko wahi kahan mile
warna rah-e-hayat mein sainkadon karwan mile


shoala-fishan zamin par sainkadon aasman mile
dil ko jahan sakun mile kash wo aastan mile
meri nazar mein kam nahin wo bhi kisi se khush-nasib
jis ko gham-e-firaq ki daulat-e-be-karan mile


wajh-e-nashat-e-shauq hai kitna hasin wo ek gham
yun to yahan hazar-ha roz-e-gham nihan mile
soch rahe hain aaj hum apni bhi qadr kya hai kam
wo hamein gar na mil sake hum bhi unhen kahan mile


un ke liye gul-o-bahaar aur hamein khizan-o-khar
un ko bhi gulsitan mile hum ko bhi gulsitan mile
soz-o-gudaz-o-dard-o-gham hasrat-o-dil-shikastagi
zist mein kitne qimti hum ko ye armughan mile


qarya-ba-qarya shahr shahr tut raha hai aaj qahr
chikh uthi hai ruh-e-dahr kash kahin aman mile
sham-e-junun liye hue dhund raha hai shahr shahr
ahd-e-khirad mein 'raaz' ko koi to raazdan mile


44823 viewsghazalEnglish