ruh ke us chhor tak honTon ka ye til jaega

By anill-sharma-tanhaOctober 8, 2023
ruh ke us chhor tak honton ka ye til jaega
sath chal kar ab mere mera hi qatil jaega
aa ke din mein kya karoge raat mein aana kabhi
tirgi se aap ko mera pata mil jaega


jab se wo nikla nahin pura chaman hai muntazir
main gar us ke sath hun pura chaman khil jaega
mujh ko samjhate rahenge log aakhir kab talak
kaise bach kar main rahun warna to ye dil jaega


doston ne kis liye mujh par kiya itna karam
itna gahra ghaw hai kya khud-ba-khud sil jaega
48518 viewsghazalEnglish