ruh ko qaid-e-ta’alluq se bhi aazad kiya
By raft-bahraichiJanuary 4, 2024
ruh ko qaid-e-ta’alluq se bhi aazad kiya
hum se jis tarh bana hum ne tumhein yaad kiya
kabhi ka'ba to kabhi dair ko aabaad kiya
hum ne har rang mein har tarh unhen yaad kiya
har nafas bar tha mere liye hasti ka wajud
chalo achchha kiya tum ne ise barbaad kiya
main samajhta hun wo koshish hai mitane ki meri
aap ne chupke se jo charkh se irshad kiya
ulta hai 'ishq ka aain khuda teri panah
wo khafa baithe hain kyon tu ne mujhe yaad kiya
tum na pursish ke liye aae zamana aaya
marte marte tumhein 'rafat' ne bahut yaad kiya

72579 viewsghazal • English