ruh pe kya kya zarb lage hain jism ki khincha-tani mein ishq ka hasil dekh rahe hain hum donon hairani mein ek mera aaina-khana ek tumhaare jism ki lau khauf-zada dil soch raha hai aag lage kab pani mein hum ko kya malum tha us ne kya kya chhupa ke rakha tha hum ne dupatta khinch liya tha shane se nadani mein paise de kar jism kharido lekin ye ehsas rahe bhuk nihan hoti hai aksar jismon ki uryani mein jigri yar ke sath jo rakha tab mujh par ye raaz khula khubiyan kitni poshida hain mere dushman-e-jaani mein honton se is dard ki khushbu aa kar jism mein phail gai kitna dard ikattha tha is thandi si peshani mein jald hi us ko nochne wale mil kar jashn manaenge taza taza phul khila hai gadle gadle pani mein