ruke hai aamad-o-shud mein nafas nahin chalta yahi hai hukm-e-ilahi to bas nahin chalta hawa ke ghode pe rahta hai wo sawar mudam kisi ka us ke barabar faras nahin chalta guzishta sal jo dekha wo ab ke sal nahin zamana ek sa bas har baras nahin chalta nahin hai tute ki buti jahan mein paida shikasta jab hua tar-e-nafas nahin chalta