rukh har ek tir-e-nazar ka hai mere dil ki taraf aane wale aa rahe hain apni manzil ki taraf dubne wale ki mayusi pe dil tharra gaya kis nigah-e-yas se dekha tha sahil ki taraf sach hai ek ujdi hui duniya ke kya lail-o-nahaar tum se bhi ab to na dekha jaega dil ki taraf kis fasurda-khatiri se raat-bhar jalti rahi der tak dekha kiye hum sham-e-mahfil ki taraf apni marzi se nahin apne irade se nahin har musafir ke qadam uthte hain manzil ki taraf tum ko kya malum kya banti hai dil par ishq mein aaina le kar zara dekho muqabil ki taraf ho gaya 'makhmur' raaz-e-zindagi ka inkishaf mauj aati hai fana hone ko sahil ki taraf