ruKHsat hui jawani naqsha badal raha hai

By bartar-madrasiJanuary 2, 2024
rukhsat hui jawani naqsha badal raha hai
tha naz tum ko jis par wo husn dhal raha hai
ho jae kuchh se kuchh to kya hai maqam-e-hairat
ek ek pal mein rang-e-duniya badal raha hai


hai dil-lagi kisi ki haal-e-zabun kisi ka
hansti hai sham'-e-mahfil parwana jal raha hai
wo aaj-kal tawajjoh karte hain meri jaanib
dil is liye khushi se banson uchhal raha hai


puchho usi ke dil se kya waqt ki hai qimat
ghaflat mein 'umr kho kar jo hath mal raha hai
dekha hai mai-kade mein ye rang shaikh ji ka
pagdi uchhal rahi hai panw phisal raha hai


kis kis tarah se mujh ko wo aazma rahe hain
main mar raha hun un ka arman nikal raha hai
is ki nahin khabar kuchh ghatti hai 'umr apni
hum ye samajh rahe hain bas waqt tal raha hai


gardan meri uda kar qatil hai aabdida
dekho meri karamat loha pighal raha hai
aankhon pe teri zalim kya pad gaya hai parda
ghuncha samajh ke mere dil ko masal raha hai


kya chiz zindagi hai kahte hain maut kis ko
ye masala abhi tak mohtaj-e-hal raha hai
qimat mein qadr mein hain anmol she'r mere
dariya-e-tab' apna moti ugal raha hai


jis daur mein tha raij guzra wo daur 'bartar'
is daur mein wafa ka sikka na chal raha hai
90506 viewsghazalEnglish