rukti nahin hai gardish-e-dauran kaha na tha

By muneer-ahmad-muneer-dehlviNovember 9, 2020
rukti nahin hai gardish-e-dauran kaha na tha
uttha karenge nit-nae tufan kaha na tha
badhta rahega hausla-e-jabr-o-ikhtiyar
tadpa karenge zulm se insan kaha na tha


har roz honge qatl ke saman nae nae
har sham hogi sham-e-ghariban kaha na tha
jari raha jo silsila-e-zabt-e-arzu
lau de uthegi sozish-e-pinhan kaha na tha


tazlil-e-e'tibar-o-yaqin honge harf-o-saut
lutti rahegi daulat-e-iman kaha na tha
duniya se munsifi ki tawaqqo fuzul hai
baithe rahoge hashr-ba-daman kaha na tha


74771 viewsghazalEnglish