rumuz-e-chashm-e-karam se jo ba-kamal hue
By imtiyaz-sagharOctober 31, 2020
rumuz-e-chashm-e-karam se jo ba-kamal hue
nisab-e-ishq mein wo log la-zawal hue
harim-e-naz teri bazm se nikale hue
safir-e-nur hue aaina-misal hue
kabhi guzar to sahi tu bhi is kharabe se
kabhi to dekh ki hum kitne paemal hue
hawa-e-ku-e-tamanna pukarti hai jinhen
wo log khwab hue gard-e-mah-o-sal hue
musafiron se kaho hadd-e-shahr khatm hui
ye dasht-e-hijr hai chehre yahan khayal hue
ye kaisi subh-e-tamanna hai ghar ke aangan mein
asir-e-zulmat-e-shab mere naunihaal hue
koi to dekhe ye mahbubiyat ki manzil bhi
jamal-e-kaun-o-makan nazr-e-khadd-o-khal hue

25860 viewsghazal • English