ruswa hue zalil hue dar-ba-dar hue haq baat lab pe aai to hum be-hunar hue kal tak jahan mein jin ko koi puchhta na tha is shahr-e-be-charagh mein wo mo'tabar hue badhne lagi hain aur zamanon ki duriyan yun fasle to aaj bahut mukhtasar hue dil ke makan se khauf ke sae na chhat sake raste to dur dur talak be-khatar hue ab ke safar mein dard ke pahlu ajib hain jo log ham-khayal na the ham-safar hue badla jo rang waqt ne manzar badal gae aahan-misal log bhi zer-o-zabar hue