ruton ke rang badalte hue bhi banjar hai wo ek khas ilaqa jo dil ke andar hai ghadi ghadi meri aaankhon mein ud rahi hai dhul sadi sadi ka meri rah mein samundar hai bujha bujha hua rahta hun apne khwabon mein dhuan dhuan sa mere jagne ka manzar hai ajib khwab sa dekha ki pure dariya mein koi jahaz kahin hai na koi langar hai badan pe tut bikharne ko hai kahin na kahin hiras-o-khauf ka saya jo mere sar par hai main kis ki khoj mein yun hi bita raha hun janm chhupa hua mere sae mein kis ka paikar hai suna rahi hai hawa apne hi safar-name ajib shor ghane jangalon ke andar hai