sab dalalon mein tawaif ka dalal achchha hai jis tarah ka bhi kisi mein ho kamal achchha hai dekh kar shakl tabibon ki jab aati hai hansi wo samajhte hain ki bimar ka haal achchha hai jeb khali ho to phir shahd lage zahr hamein ji mein kahte hain ki muft aae to mal achchha hai khush ho ai dil ke milegi tujhe daulat gham ki ek barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai koi ahmaq hi na manega agar main ye kahun saghar-e-jam se mera jam-e-sifal achchha hai kah do afyun ke har smuggler se 'wahid' kaam achchha hai ki wo jis ka maal achchha hai sohbat-e-hur mile ya na mile hum ko magar dil ko bahlane ko 'ghaalib' ye khayal achchha hai